siyahi mein naha kar surKH-ru hain
siyāhī meñ nahā kar surḳh-rū haiñ
maze meñ haiñ jo ahl-e-hāo-hū haiñ
na dekhā ḳhvāb bhī ik ḳhvāb jaisā
ġharaz majbūriyoñ meñ bā-vuzū haiñ
nahīñ tafsīl kā qaa.il nahīñ maiñ
yahī ash'ār sharh-e-ārzū haiñ
nahīñ maiñ aaj apne aap meñ bhī
vo ā.īne meñ kis se rū-barū haiñ
zamīñ vaalo zarā hushiyār rahnā
sabhī qābīl mahv-e-guftugū haiñ
ye maiñ huuñ aur ye merī kitābeñ
bharī duniyā meñ do hī fāltū haiñ
siyahi mein naha kar surKH-ru hain
maze mein hain jo ahl-e-hao-hu hain
na dekha KHwab bhi ek KHwab jaisa
gharaz majburiyon mein ba-wuzu hain
nahin tafsil ka qail nahin main
yahi ash'ar sharh-e-arzu hain
nahin main aaj apne aap mein bhi
wo aaine mein kis se ru-baru hain
zamin walo zara hushiyar rahna
sabhi qabil mahw-e-guftugu hain
ye main hun aur ye meri kitaben
bhari duniya mein do hi faltu hain
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 109)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.