Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyasat mein adakari to pahle se bhi baDh kar hai

Krishn Parvez

siyasat mein adakari to pahle se bhi baDh kar hai

Krishn Parvez

MORE BYKrishn Parvez

    siyāsat meñ adākārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    har ik leader meñ makkārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    koī bhī kaam āsānī se ho jaa.e nahīñ mumkin

    har ik daftar meñ dushvārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    karoḌoñ hai Thekā ḳharch hote haiñ magar lākhoñ

    ye bandar-bāñT sarkārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    har ik leader da.avā hai taraqqī mulk ne kar

    vatan meñ bhuuk bekārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    kisī daftar meñ tum jaao sabhī jebeñ TaToleñge

    ki har-sū luuT sarkārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    bane qānūn haiñ 'parvez' kitne fā.eda kyā hai

    vatan meñ chor-bāzārī to pahle se bhī baḌh kar hai

    siyasat mein adakari to pahle se bhi baDh kar hai

    har ek leader mein makkari to pahle se bhi baDh kar hai

    koi bhi kaam aasani se ho jae nahin mumkin

    har ek daftar mein dushwari to pahle se bhi baDh kar hai

    karoDon ka hai Theka KHarch hote hain magar lakhon

    ye bandar-banT sarkari to pahle se bhi baDh kar hai

    har ek leader ka dawa hai taraqqi mulk ne kar li

    watan mein bhuk bekari to pahle se bhi baDh kar hai

    kisi daftar mein tum jao sabhi jeben TaTolenge

    ki har-su luT sarkari to pahle se bhi baDh kar hai

    bane qanun hain 'parwez' kitne faeda kya hai

    watan mein chor-bazari to pahle se bhi baDh kar hai

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 83)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now