Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyasi nafraton ki zad mein aaenge hamin kab tak

A.R Sahil 'Aleeg'

siyasi nafraton ki zad mein aaenge hamin kab tak

A.R Sahil 'Aleeg'

MORE BYA.R Sahil 'Aleeg'

    siyāsī nafratoñ zad meñ ā.eñge hamīñ kab tak

    bhigo kar shaah rakkhegā lahū meñ āstīñ kab tak

    ka.ī kankar vafā jhiil meñ maiñ pheñk aaya huuñ

    ubhar kar sat.h pe ā.eñge dekheñ tah-nashīñ kab tak

    bharam ke paañv zanjīr ko sach toḌ degā

    kisī ke jhuuT par koī karegā bhī yaqīñ kab tak

    rakhegā vaqt un ke rū-barū bhī aa.ina ik din

    jahāñ ke aib dekhā kareñge nukta-chīñ kab tak

    nigāhoñ se vo har shaḳhs ko kāfir banā degā

    bachegī ye havas ke saa.e se rū-e-zamīñ kab tak

    na jaane kab rihā is qaid se ham hoñge ai 'sāhil'

    satā.eñge hamārī ziist ko ye kufr-o-dīñ kab tak

    siyasi nafraton ki zad mein aaenge hamin kab tak

    bhigo kar shah rakkhega lahu mein aastin kab tak

    kai kankar wafa ki jhil mein main phenk aaya hun

    ubhar kar sath pe aaenge dekhen tah-nashin kab tak

    bharam ke panw ki zanjir ko sach toD hi dega

    kisi ke jhuT par koi karega bhi yaqin kab tak

    rakhega waqt un ke ru-baru bhi aaina ek din

    jahan ke aib hi dekha karenge nukta-chin kab tak

    nigahon se hi wo har shaKHs ko kafir bana dega

    bachegi ye hawas ke sae se ru-e-zamin kab tak

    na jaane kab riha is qaid se hum honge ai 'sahil'

    sataenge hamari zist ko ye kufr-o-din kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now