so chuki hai jo raaz rahne do
so chukī hai jo raaz rahne do
tum jatāoge pyaar rahne do
ye nadāmat to ik dikhāvā hai
aap aur sharmsār rahne do
jaan bastī hai aap kī mujh meñ
jhuuT itnā to yaar rahne do
tum ko phūloñ pe niiñd aatī hai
tum sajāoge daar rahne do
kyā mirī jaan le ke mānoge
kuchh to jaañ pe udhār rahne do
tum ne hāsil to kar liyā mujh ko
tum ko merā ḳhumār rahne do
kyā kahā aap ne zarā kahnā
'nūr' kā intizār rahne do
so chuki hai jo raaz rahne do
tum jataoge pyar rahne do
ye nadamat to ek dikhawa hai
aap aur sharmsar rahne do
jaan basti hai aap ki mujh mein
jhuT itna to yar rahne do
tum ko phulon pe nind aati hai
tum sajaoge dar rahne do
kya meri jaan le ke manoge
kuchh to jaan pe udhaar rahne do
tum ne hasil to kar liya mujh ko
tum ko mera KHumar rahne do
kya kaha aap ne zara kahna
'nur' ka intizar rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.