Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

so usko chhoD diya usne jab wafa nahin ki

Sultan Sukoon

so usko chhoD diya usne jab wafa nahin ki

Sultan Sukoon

MORE BYSultan Sukoon

    so us ko chhoḌ diyā us ne jab vafā nahīñ

    palaT ke ham ne koī us se iltijā nahīñ

    jigar figār rahe qais se sivā lekin

    ga.e na dasht ko aur chaak bhī qabā nahīñ

    ḳhudā ko hāzir-o-nāzir samajh ke ye kah de

    ki ham ne tujh se mohabbat meñ intihā nahīñ

    magar phir bhī gila-mand hai to hotā rahe

    ki ham ne tujh se vafā nahīñ to nahīñ

    zarūrateñ to ka.ī tarah rahīñ darpesh

    amīr-e-shahr ke dar par kabhī sadā nahīñ

    ḳhafā kiyā hai ḳhudā ko to bār-hā lekin

    ḳhudā shukr ḳhafā ḳhilqat-e-ḳhudā nahīñ

    rahī hai dil meñ rūdād apne dukh sukūn

    kahīñ kahā nahīñ aur kahīñ sunā nahīñ

    so us ko chhoD diya us ne jab wafa nahin ki

    palaT ke hum ne koi us se iltija nahin ki

    jigar figar rahe qais se siwa lekin

    gae na dasht ko aur chaak bhi qaba nahin ki

    KHuda ko hazir-o-nazir samajh ke ye kah de

    ki hum ne tujh se mohabbat mein intiha nahin ki

    magar tu phir bhi gila-mand hai to hota rahe

    ki hum ne tujh se wafa ki nahin to ja nahin ki

    zaruraten to kai tarah ki rahin darpesh

    amir-e-shahr ke dar par kabhi sada nahin ki

    KHafa kiya hai KHuda ko to bar-ha lekin

    KHuda ka shukr KHafa KHilqat-e-KHuda nahin ki

    rahi hai dil hi mein rudad apne dukh ki sukun

    kahin kaha nahin ki aur kahin suna nahin ki

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 30.06.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now