soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai

Aslam Kolsarii

soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai

Aslam Kolsarii

MORE BY Aslam Kolsarii

  soch uljhī huī jhāḌī jānib jo ga.ī

  aas rañgīn titlī ḳhuuñ chhīñTā ho ga.ī

  us ḳhushbū thī mirī āvāz thī kyā chiiz thī

  jo darīcha toḌ kar niklī fazā meñ kho ga.ī

  āḳhir-e-shab duur kohsāroñ se barfānī havā

  shahr meñ aa.ī mire kamre meñ aa kar so ga.ī

  chand chhilkoñ aur ik būḌhī bhikāran ke sivā

  rail-gāḌī āḳhirī manzil pe ḳhālī ho ga.ī

  is qadar melā na thā jis par kisī naam thā

  phir bhī 'aslam' aañkh chhalkī aur kāġhaz dho ga.ī

  soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai

  aas ki rangin titli KHun ka chhinTa ho gai

  us ki KHushbu thi meri aawaz thi kya chiz thi

  jo daricha toD kar nikli faza mein kho gai

  aaKHir-e-shab dur kohsaron se barfani hawa

  shahr mein aai mere kamre mein aa kar so gai

  chand chhilkon aur ek buDhi bhikaran ke siwa

  rail-gaDi aaKHiri manzil pe KHali ho gai

  is qadar mela na tha jis par kisi ka nam tha

  phir bhi 'aslam' aankh chhalki aur kaghaz dho gai

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Added to your favorites

  Removed from your favorites