soch ko kaisi uDanen mil gain
soch ko kaisī uḌāneñ mil ga.iiñ
aaj tasvīroñ ko jāneñ mil ga.iiñ
uñgliyoñ ne harf saare paḌh liye
pattharoñ ko bhī zabāneñ mil ga.iiñ
muñh se nikle bol qaidī ho ga.e
be-nishān lahroñ ko tāneñ mil ga.iiñ
hoñT jab majbūriyoñ ne sī diye
saarī bastī ko zabāneñ mil ga.iiñ
maiñ mohabbat kā samundar thā mujhe
chāñd niklā to uThāneñ mil ga.iiñ
ruuh meñ jab koī taaza ġham khulā
yuuñ lagā ḳhushiyoñ kī kāneñ mil ga.iiñ
soch ko kaisi uDanen mil gain
aaj taswiron ko jaanen mil gain
ungliyon ne harf sare paDh liye
pattharon ko bhi zabanen mil gain
munh se nikle bol qaidi ho gae
be-nishan lahron ko tanen mil gain
honT jab majburiyon ne si diye
sari basti ko zabanen mil gain
main mohabbat ka samundar tha mujhe
chand nikla to uThanen mil gain
ruh mein jab koi taza gham khula
yun laga KHushiyon ki kanen mil gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.