Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

Shahid Kamal

soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    soch rahā hai itnā kyuuñ ai dast-e-be-tāḳhīr nikāl

    ne apne tarkash meñ jo rakkhā hai vo tiir nikāl

    jis kuchh anjām nahīñ vo jañg hai do naqqādoñ

    lafzoñ saffāk sināneñ lahjoñ shamshīr nikāl

    āshob-e-taḳhrīb kuchh is andām-e-taḳhlīq meñ hai

    toḌ mire dīvār-o-dar ko ek na.ī ta.amīr nikāl

    chāñd sitāroñ khetī kar raat banjar dhartī par

    aañkh ke is sūkhe dariyā se ḳhvāboñ ta.abīr nikāl

    tere is ehsān se merī ġhairat dam ghuTtā hai

    mere in pairoñ se apnī shohrat zanjīr nikāl

    roz āpā-dhāpī se kuchh vaqt churā kar laa.e haiñ

    yaar zarā ham donoñ ik achchhī tasvīr nikāl

    'shāhid' ab ye aalam hai is ahd-e-suḳhan-arzānī

    'mīr' pe kar īrād bhī us pe 'ġhālib' tafsīr nikāl

    soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

    tu ne apne tarkash mein jo rakkha hai wo tir nikal

    jis ka kuchh anjam nahin wo jang hai do naqqadon ki

    lafzon ki saffak sinanen lahjon ki shamshir nikal

    aashob-e-taKHrib sa kuchh is andam-e-taKHliq mein hai

    toD mere diwar-o-dar ko ek nai tamir nikal

    chand sitaron ki kheti kar raat ki banjar dharti par

    aankh ke is sukhe dariya se KHwabon ki tabir nikal

    tere is ehsan se meri ghairat ka dam ghuTta hai

    mere in pairon se apni shohrat ki zanjir nikal

    roz ki aapa-dhapi se kuchh waqt chura kar lae hain

    yar zara hum donon ki ek achchhi si taswir nikal

    'shahid' ab ye aalam hai is ahd-e-suKHan-arzani ka

    'mir' pe kar irad bhi us pe 'ghaalib' ki tafsir nikal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now