socha ki wa ho sabz daricha jo band tha

Yusuf Jamal

socha ki wa ho sabz daricha jo band tha

Yusuf Jamal

MORE BYYusuf Jamal

  sochā ki ho sabz darīcha jo band thā

  pīlāhaToñ chehra bahut fikrmand thā

  har saañs thūktī thī lahū zard rañg

  har shaḳhs us galī aziyyat-pasand thā

  mīThe tabassumoñ ko liye sab se baat

  ḳhud se kiyā kalām to lab zahr-qand thā

  baunā thā vo zarūr magar is ke bāvajūd

  kirdār ke lihāz se qad buland thā

  maiñ ne fasīl-e-shab ko muqaddar nahīñ kiyā

  tīra-shabī meñ ghir ke bhī dil arjumand thā

  socha ki wa ho sabz daricha jo band tha

  pilahaTon ka chehra bahut fikrmand tha

  har sans thukti thi lahu zard rang ka

  har shaKHs us gali ka aziyyat-pasand tha

  miThe tabassumon ko liye sab se baat ki

  KHud se kiya kalam to lab zahr-qand tha

  bauna tha wo zarur magar is ke bawajud

  kirdar ke lihaz se qad ka buland tha

  main ne fasil-e-shab ko muqaddar nahin kiya

  tira-shabi mein ghir ke bhi dil arjumand tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY