Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

Athar Nafees

sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

Athar Nafees

MORE BYAthar Nafees

    sochte aur jāgte sāñsoñ ik dariyā huuñ maiñ

    apne gum-gashta kināroñ ke liye bahtā huuñ maiñ

    besh-qīmat huuñ mirī qīmat lagā saktā hai kaun

    tere kūche meñ bikūñ to phir bahut sastā huuñ maiñ

    ḳhvāb jo dekhe the maiñ ne vo bhī ab dhundlā ga.e

    ab to tum aa jaao sāhab ab bahut tanhā huuñ maiñ

    jal gayā saarā badan in mausamoñ aag meñ

    ek mausam ruuh hai jis meñ ki ab zinda huuñ maiñ

    mere hoñToñ tabassum de gayā dhokā tujhe

    ne mujh ko baaġh jaanā dekh le sahrā huuñ maiñ

    maiñ to yaaro aap apnī jaan dushman huā

    zahr ban ke aap apnī ruuh meñ utrā huuñ maiñ

    dekhne merī pazīrā.ī ko ab aatā hai kaun

    lamha bhar ko vaqt dahlīz par aayā huuñ maiñ

    ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diyā

    palaT kar dekh le to aaj bhī hiirā huuñ maiñ

    lafz gūñge haiñ inheñ goyā.ī dene ke liye

    zindagī ke sachche lamhoñ meñ ġhazal kahtā huuñ maiñ

    sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

    apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main

    besh-qimat hun meri qimat laga sakta hai kaun

    tere kuche mein bikun to phir bahut sasta hun main

    KHwab jo dekhe the main ne wo bhi ab dhundla gae

    ab to tum aa jao sahab ab bahut tanha hun main

    jal gaya sara badan in mausamon ki aag mein

    ek mausam ruh hai jis mein ki ab zinda hun main

    mere honTon ka tabassum de gaya dhoka tujhe

    tu ne mujh ko bagh jaana dekh le sahra hun main

    main to yaro aap apni jaan ka dushman hua

    zahr ban ke aap apni ruh mein utra hun main

    dekhne meri pazirai ko ab aata hai kaun

    lamha bhar ko waqt ki dahliz par aaya hun main

    tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya

    tu palaT kar dekh le to aaj bhi hira hun main

    lafz gunge hain inhen goyai dene ke liye

    zindagi ke sachche lamhon mein ghazal kahta hun main

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 326)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now