Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sochte kya hain chhalakta jam le kar

Sardar Panchhi

sochte kya hain chhalakta jam le kar

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    sochte kyā haiñ chhalaktā jaam le kar

    pīji.e us bevafā naam le kar

    aa.e the to haath ḳhālī the hamāre

    rahe haiñ saiñkaḌoñ ilzām le kar

    ik diyā ghar meñ jalāyā thā use bhī

    le gayā koī tumhārā naam le kar

    dhuup aa saktī thī vo aatī nahīñ hai

    kaun aa.egā yahāñ paiġhām le kar

    kaaT liiñ darbār ne sab zabāneñ

    bulbuleñ ḳhāmosh haiñ in.aam le kar

    kaun gañgā nahāyā hai ye sūraj

    jab bhī aayā hai to qatl-e-ām le kar

    ab nahīñ koī zarūrat ham-safar

    chal paḌā huuñ gardish-e-ayyām le kar

    āshiyāñ hotā to hotā lauTnā bhī

    kyā kare 'panchhī' avadh shaam le kar

    sochte kya hain chhalakta jam le kar

    pijie us bewafa ka nam le kar

    aae the to hath KHali the hamare

    ja rahe hain sainkaDon ilzam le kar

    ek diya ghar mein jalaya tha use bhi

    le gaya koi tumhaara nam le kar

    dhup aa sakti thi wo aati nahin hai

    kaun aaega yahan paigham le kar

    kaT lin darbar ne sab ki zabanen

    bulbulen KHamosh hain inam le kar

    kaun si ganga nahaya hai ye suraj

    jab bhi aaya hai to qatl-e-am le kar

    ab nahin koi zarurat ham-safar ki

    chal paDa hun gardish-e-ayyam le kar

    aashiyan hota to hota lauTna bhi

    kya kare 'panchhi' awadh ki sham le kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now