aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain

Noor Taqi Noor

sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain

Noor Taqi Noor

MORE BYNoor Taqi Noor

    sone ke lab chāñdī ke chehroñ meñ jaḌe haiñ

    un se baat na karnā tum ye log baḌe haiñ

    tūfānoñ meñ chalnā to mushkil hai lekin

    ye himmat bhī kyā kam hai kuchh log khaḌe haiñ

    ye ab kyā DhūñD rahe ho in ḳhālī āñkhoñ meñ

    ye goshe to barsoñ se vīrān paḌe haiñ

    kaisī kaisī anhonī bāteñ hotī haiñ

    kaise kaise duniyā ne ilzām gaḌhe haiñ

    mez kitābeñ kamra ḳhat tasvīr risāle

    ham kyā chup haiñ sab ke sab ḳhāmosh paḌe haiñ

    'nūr' unheñ bhī izn mile kuchh āzādī

    jo sadiyoñ se jismoñ ke jañgal meñ paḌe haiñ

    sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain

    un se baat na karna tum ye log baDe hain

    tufanon mein chalna to mushkil hai lekin

    ye himmat bhi kya kam hai kuchh log khaDe hain

    ye ab kya DhunD rahe ho in KHali aankhon mein

    ye goshe to barson se viran paDe hain

    kaisi kaisi anhoni baaten hoti hain

    kaise kaise duniya ne ilzam gaDhe hain

    mez kitaben kamra KHat taswir risale

    hum kya chup hain sab ke sab KHamosh paDe hain

    'nur' unhen bhi izn mile kuchh aazadi ka

    jo sadiyon se jismon ke jangal mein paDe hain

    Source:

    sheerazah (Pg. 58)

    • Author: makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
      • Edition: 1973
      • Publisher: P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now