soun bhi to rahta koi bedar hai mujh mein
so.uuñ bhī to rahtā koī bedār hai mujh meñ
ik ḳhauf-zada shaḳhs giraftār hai mujh meñ
ik jang sī hotī hai musalsal mire andar
lekin koī neza hai na talvār hai mujh meñ
ik jism hai lekin mire saa.e to bahut haiñ
mujh se bhī ziyāda mirī miqdār hai mujh meñ
kyā us ke liye bhī hai kahīñ koī jahannam
mujh se bhī baḌā ek gunahgār hai mujh meñ
maiñ 'ahd-e-guzishta kā ziyāñ kar nahīñ saktā
guzre hue lamhāt kā ambār hai mujh meñ
manDī meñ koī roz mujhe bech rahā hai
achchhā hai mirā ek ḳharīdār hai mujh meñ
vo khel huuñ maiñ jis meñ numāyāñ nahīñ hotā
'āsim' pas-e-parda mirā kirdār hai mujh meñ
soun bhi to rahta koi bedar hai mujh mein
ek KHauf-zada shaKHs giraftar hai mujh mein
ek jang si hoti hai musalsal mere andar
lekin koi neza hai na talwar hai mujh mein
ek jism hai lekin mere sae to bahut hain
mujh se bhi ziyaada meri miqdar hai mujh mein
kya us ke liye bhi hai kahin koi jahannam
mujh se bhi baDa ek gunahgar hai mujh mein
main 'ahd-e-guzishta ka ziyan kar nahin sakta
guzre hue lamhat ka ambar hai mujh mein
manDi mein koi roz mujhe bech raha hai
achchha hai mera ek KHaridar hai mujh mein
wo khel hun main jis mein numayan nahin hota
'asim' pas-e-parda mera kirdar hai mujh mein
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 53)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.