Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai

Saif Bijnori

subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai

Saif Bijnori

MORE BYSaif Bijnori

    sub.h-e-ishrat zindagī shaam ho kar rah ga.ī

    hasrat-e-dil maut paiġhām ho kar rah ga.ī

    tum ne duniyā ko luTā deñ ne.amateñ achchhā kiyā

    merī duniyā bas tumhārā naam ho kar rah ga.ī

    jis sahar ham ne māñgī thī asīrī meñ duā

    vo sahar aa.ī to lekin shaam ho kar rah ga.ī

    ai mohabbat ke ḳhudā ai ishq ke parvardigār

    har tamannā ab ḳhayāl-e-ḳhām ho kar rah ga.ī

    ḳhauf-e-rusvā.ī ne mujh ko aah bhī bharne na

    lab tak aa.ī bhī to un naam ho kar rah ga.ī

    dekh kar un ko mirī āñkhoñ meñ bhar aa.e the ashk

    baat kyā thī magar vo aam ho kar rah ga.ī

    ahl-e-mahfil dekhte 'saif' be-ḳhud ho ga.e

    har adā saaqī sharh-e-jām ho kar rah ga.ī

    subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai

    hasrat-e-dil maut ka paigham ho kar rah gai

    tum ne duniya ko luTa den neamaten achchha kiya

    meri duniya bas tumhaara nam ho kar rah gai

    jis sahar ki hum ne mangi thi asiri mein dua

    wo sahar aai to lekin sham ho kar rah gai

    ai mohabbat ke KHuda ai ishq ke parwardigar

    har tamanna ab KHayal-e-KHam ho kar rah gai

    KHauf-e-ruswai ne mujh ko aah bhi bharne na di

    lab tak aai bhi to un ka nam ho kar rah gai

    dekh kar un ko meri aankhon mein bhar aae the ashk

    baat hi kya thi magar wo aam ho kar rah gai

    ahl-e-mahfil dekhte hi 'saif' be-KHud ho gae

    har ada saqi ki sharh-e-jam ho kar rah gai

    Source:

    Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam) (Pg. 57)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Bazm-e-Adab, Rajasthan
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now