Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun

Ahmad Shanas

subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun

Ahmad Shanas

MORE BYAhmad Shanas

    sub.h-e-vajūd huuñ ki shab-e-intizār huuñ

    maiñ āshkār huuñ ki pas-e-āshkār huuñ

    har rañg-e-be-qarār huuñ har naqsh-e-nā-tamām

    miTTī dard huuñ ki sitāroñ pyaar huuñ

    kuchh to mire vajūd hissa hai tere paas

    varna maiñ apne aap meñ kyuuñ intizār huuñ

    ik aur āsmān chamaktā hai ḳhvāb meñ

    ik aur kā.enāt ā.īna-dār huuñ

    ne mujhe ḳhayāl kiyā thā isī tarah

    gard-o-ġhubār meñ bhī sitāra-shi.ār huuñ

    jaarī ho be-mahār ta'alluq salsabīl

    ik aisī barshgāl ummīd-vār huuñ

    kaise khaḌā huuñ kis ke sahāre khaḌā huuñ maiñ

    apnā yaqīn huuñ ki tirā e'tibār huuñ

    ik baar apne ghar se nikālā gayā thā maiñ

    phir is ke baa'd gardish-e-lail-o-nahār huuñ

    bas kuchh dinoñ aur sa'ūbat hai dhuup

    sahrā-e-jism paar koī barg-zār huuñ

    tere jamāl se mirī āñkhoñ meñ nuur hai

    terā ḳhayāl hai to maiñ bāġh-o-bahār huuñ

    sāñsoñ ke darmiyān sulagte haiñ bāl-o-par

    phir bhī kisī uḌaan ummīd-vār huuñ

    'ahmad' kisī zamān-o-makāñ nahīñ huuñ maiñ

    lamhoñ der hai jo sar-e-ābshār huuñ

    subh-e-wajud hun ki shab-e-intizar hun

    main aashkar hun ki pas-e-ashkar hun

    har rang-e-be-qarar hun har naqsh-e-na-tamam

    miTTi ka dard hun ki sitaron ka pyar hun

    kuchh to mere wajud ka hissa hai tere pas

    warna main apne aap mein kyun intizar hun

    ek aur aasman chamakta hai KHwab mein

    ek aur kaenat ka aaina-dar hun

    tu ne mujhe KHayal kiya tha isi tarah

    gard-o-ghubar mein bhi sitara-shiar hun

    jari ho be-mahaar ta'alluq ki salsabil

    ek aisi barshgal ka ummid-war hun

    kaise khaDa hun kis ke sahaare khaDa hun main

    apna yaqin hun ki tera e'tibar hun

    ek bar apne ghar se nikala gaya tha main

    phir is ke ba'd gardish-e-lail-o-nahaar hun

    bas kuchh dinon ki aur sa'ubat hai dhup ki

    sahra-e-jism par koi barg-zar hun

    tere jamal se meri aankhon mein nur hai

    tera KHayal hai to main bagh-o-bahaar hun

    sanson ke darmiyan sulagte hain baal-o-par

    phir bhi kisi uDan ka ummid-war hun

    'ahmad' kisi zaman-o-makan ka nahin hun main

    lamhon ki der hai jo sar-e-abshaar hun

    Source:

    Salsal (Pg. 43)

    • Author: Ahmad Shanas
      • Edition: 2013
      • Publisher: Rahbar Book Service
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now