Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh ke ujle jaziron pe bhi tari hui sham

Syed Masroor Jauhar

subh ke ujle jaziron pe bhi tari hui sham

Syed Masroor Jauhar

MORE BYSyed Masroor Jauhar

    sub.h ke ujle jazīroñ pe bhī taarī huī shaam

    sahme sahme haiñ manāzir ki shikārī huī shaam

    har taraf raushnī-o-rang raqs-e-paiham

    yaad aatī hai tire saath guzārī huī shaam

    jam ga.iiñ gahrī udāsī taheñ palkoñ par

    oḌh ke terā ḳhayāl aur bhī bhārī huī shaam

    kho ga.e jaane kahāñ sard havāoñ ke sitār

    mastī-o-kaif ke ehsās se aarī huī shaam

    umr bhar dhuup poshish rahī ḳhuddārī par

    ham ne pahnī na harīfoñ utārī huī shaam

    āḳhirash Duub ga.ī apne sannāToñ meñ

    merī pur-shor tamannāoñ se haarī huī shaam

    dosto ham ko tumhārī sabhī sharteñ manzūr

    tum agar sub.h ke tālib ho hamārī huī shaam

    'mīr'-o-'ġhālib' hue 'hasrat' hue 'faiz'-o-'firāq'

    sab ġhazal vāloñ pe sau jaan se vaarī huī shaam

    ek ham ba-sar-o-chashm fidā the is par

    'jauhar' ab jaa.e kahāñ hijr maarī huī shaam

    subh ke ujle jaziron pe bhi tari hui sham

    sahme sahme hain manazir ki shikari hui sham

    har taraf raushni-o-rang ka raqs-e-paiham

    yaad aati hai tere sath guzari hui sham

    jam gain gahri udasi ki tahen palkon par

    oDh ke tera KHayal aur bhi bhaari hui sham

    kho gae jaane kahan sard hawaon ke sitar

    masti-o-kaif ke ehsas se aari hui sham

    umr bhar dhup ki poshish rahi KHuddari par

    hum ne pahni na harifon ki utari hui sham

    aaKHirash Dub gai apne hi sannaTon mein

    meri pur-shor tamannaon se haari hui sham

    dosto hum ko tumhaari sabhi sharten manzur

    tum agar subh ke talib ho hamari hui sham

    'mir'-o-'ghaalib' hue 'hasrat' hue ya 'faiz'-o-'firaq'

    sab ghazal walon pe sau jaan se wari hui sham

    ek hum hi ba-sar-o-chashm fida the is par

    'jauhar' ab jae kahan hijr ki mari hui sham

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now