subh likhna hai sham likhna hai
sub.h likhnā hai shaam likhnā hai
terā hī dil pe naam likhnā hai
tum ko rādhā likhūñgā ġhazloñ meñ
aur ab ḳhud ko shyām likhnā hai
kānhā ab dil meñ bas chuke ho tum
dil ko ab mere dhaam likhnā hai
ab qalamkār roz bikte haiñ
in sabhī ko ġhulām likhnā hai
chain dil ko baġhair us ke nahīñ
dard ḳhat meñ tamām likhnā hai
subh likhna hai sham likhna hai
tera hi dil pe nam likhna hai
tum ko radha likhunga ghazlon mein
aur ab KHud ko shyam likhna hai
kanha ab dil mein bas chuke ho tum
dil ko ab mere dham likhna hai
ab qalamkar roz bikte hain
in sabhi ko ghulam likhna hai
chain dil ko baghair us ke nahin
dard KHat mein tamam likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.