subh main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah
sub.h maiñ sau kar uThā khāyā piyā kal kī tarah
zindagī pyārī thī mujh ko jī liyā kal kī tarah
jo milā hañs kar mile us se ḳhudā-hāfiz kahā
aaj bhī jaarī rahī mashq-e-riyā kal kī tarah
ham ne apne jī meñ Thānī aur ye kahte hue
jo na karnā thā vahī sab kar liyā kal kī tarah
aaj bhī kahte haiñ mujh ko log achchhā aadmī
aaj bhī ban kar rahā huuñ bahrūpiyā kal kī tarah
ḳhud se milne ke liye tanhā.ī kitnī chāhiye
aaj bhī paayā na maiñ ne taḳhliya kal kī tarah
piir ruumī aaj phir nikle haiñ kis kī khoj meñ
apne hāthoñ meñ liye jaltā diyā kal kī tarah
subh main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah
zindagi pyari thi mujh ko ji liya kal ki tarah
jo mila hans kar mile us se KHuda-hafiz kaha
aaj bhi jari rahi mashq-e-riya kal ki tarah
hum ne apne ji mein Thani aur ye kahte hue
jo na karna tha wahi sab kar liya kal ki tarah
aaj bhi kahte hain mujh ko log achchha aadmi
aaj bhi ban kar raha hun bahrupiya kal ki tarah
KHud se milne ke liye tanhai kitni chahiye
aaj bhi paya na main ne taKHliya kal ki tarah
pir rumi aaj phir nikle hain kis ki khoj mein
apne hathon mein liye jalta diya kal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.