Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di

Hamidi Kashmiri

suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di

Hamidi Kashmiri

MORE BYHamidi Kashmiri

    suḳhan suḳhan meñ vo ramz-āshnā dikhā.ī

    zanān-e-shahr meñ sab se judā dikhā.ī

    guzār aa.e vo har lamha shab-parastī meñ

    sahar raushnī mujh se ḳhafā dikhā.ī

    maiñ us se dil koī baat bhī chhupā na sakā

    vo ajnabī thī magar āshnā dikhā.ī

    mire gumāñ meñ na thā jism-o-jāñ bhī vāregī

    jahāñ kahīñ milī be-e'tinā dikhā.ī

    kise ḳhabar thī vo āseb-gāh niklegī

    ġhubār-e-māh meñ duur ik sarā dikhā.ī

    mizāj-pursī kujā aañkh bhī milā na sakā

    akelī saḌkoñ pe vo bārhā dikhā.ī

    suKHan suKHan mein wo ramz-ashna dikhai di

    zanan-e-shahr mein sab se juda dikhai di

    guzar aae wo har lamha shab-parasti mein

    sahar ki raushni mujh se KHafa dikhai di

    main us se dil ki koi baat bhi chhupa na saka

    wo ajnabi thi magar aashna dikhai di

    mere guman mein na tha jism-o-jaan bhi waregi

    jahan kahin mili be-e'tina dikhai di

    kise KHabar thi wo aaseb-gah niklegi

    ghubar-e-mah mein dur ek sara dikhai di

    mizaj-pursi kuja aankh bhi mila na saka

    akeli saDkon pe wo barha dikhai di

    Source:

    (Pg. 78)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now