Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya

Syed Ahmad Sahar

suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya

Syed Ahmad Sahar

MORE BYSyed Ahmad Sahar

    suḳhanvarī ye be-sūd kārobār hai kyā

    junūn-e-shīsha-garī ma.āl-e-kār hai kyā

    vo har chaman ko miTāne ko be-qarār hai kyā

    use guloñ tabassum bhī nāgavār hai kyā

    na jaane kaun bastī pe mehrbāñ ho jaa.e

    darāz-dastī-e-daurāñ e'tibār hai kyā

    zamāna ho gayā jis kārvāñ ko chhoḌe hue

    ab us zikr masāfat meñ baar baar hai kyā

    havā.eñ aap badal deñgī rāsta apnā

    isī umiid pe jiine inhisār hai kyā

    ye raah ḳhair vo shar ek ko chun lo

    miyāñ khaḌe ho dorāhe pe kyoñ shumār hai kyā

    nafas nafas hai fuzūñ bāzgasht-ex-bāñg-e-jaras

    chal ai asīr-e-havas chal de intizār hai kyā

    sitam shahr bhī Duubā hai āñsuoñ meñ kabhī

    ravāñ in āñkhoñ se paiham ye ābshār hai kyā

    'sahar' ye rāste kyoñ ajnabī se lagte haiñ

    jahāñ ye 'umr kaTī ye vahī dayār hai kyā

    suKHanwari ka ye be-sud karobar hai kya

    junun-e-shisha-gari ka maal-e-kar hai kya

    wo har chaman ko miTane ko be-qarar hai kya

    use gulon ka tabassum bhi nagawar hai kya

    na jaane kaun si basti pe mehrban ho jae

    daraaz-dasti-e-dauran ka e'tibar hai kya

    zamana ho gaya jis karwan ko chhoDe hue

    ab us ka zikr masafat mein bar bar hai kya

    hawaen aap badal dengi rasta apna

    isi umid pe jine ka inhisar hai kya

    ye rah KHair ki wo shar ki ek ko chun lo

    miyan khaDe ho dorahe pe kyon shumar hai kya

    nafas nafas hai fuzun bazgasht-ex-bang-e-jaras

    chal ai asir-e-hawas chal de intizar hai kya

    sitam ka shahr bhi Duba hai aansuon mein kabhi

    rawan in aankhon se paiham ye aabshaar hai kya

    'sahar' ye raste kyon ajnabi se lagte hain

    jahan ye 'umr kaTi ye wahi dayar hai kya

    Source:

    Sahar Hone Tak (Pg. 138)

    • Author: Syed Ahmad Sahar
      • Publisher: Syed Ahmad Sahar
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now