Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin

Badr Shamsi

sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    sukūn-e-dil talab meñ jo be-qarār nahīñ

    vo apne dard-e-mohabbat se sharmsār nahīñ

    ḳhushī se kaun uThātā hai ġham zamāne meñ

    ye jabr vo hai ki jis par kuchh iḳhtiyār nahīñ

    sab apnī zaat jānib haiñ aaj garm-e-safar

    koī kisī ke liye mahv-e-intizār nahīñ

    kuchh is tarah tirī chashm-e-karam ne luuTā hai

    mujhe ḳhud apnī tabāhī e'tibār nahīñ

    nazar-fareb bahāroñ se khelne vaale

    tirī nazar meñ abhī hāsil-e-bahār nahīñ

    har ek ġham mudāvā hai ḳhud-farāmoshī

    vo hoshiyār bahut hai jo hoshiyār nahīñ

    jalāo 'badr' shab-e-ġham charāġh ashkoñ ke

    ki in chamakte sitāroñ e'tibār nahīñ

    sukun-e-dil ki talab mein jo be-qarar nahin

    wo apne dard-e-mohabbat se sharmsar nahin

    KHushi se kaun uThata hai gham zamane mein

    ye jabr wo hai ki jis par kuchh iKHtiyar nahin

    sab apni zat ki jaanib hain aaj garm-e-safar

    koi kisi ke liye mahw-e-intizar nahin

    kuchh is tarah teri chashm-e-karam ne luTa hai

    mujhe KHud apni tabahi ka e'tibar nahin

    nazar-fareb bahaaron se khelne wale

    teri nazar mein abhi hasil-e-bahaar nahin

    har ek gham ka mudawa hai KHud-faramoshi

    wo hoshiyar bahut hai jo hoshiyar nahin

    jalao 'badr' shab-e-gham charagh ashkon ke

    ki in chamakte sitaron ka e'tibar nahin

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 103)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now