Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-e-qalb pana hai to sajda-rez ho jao

Rasheed Khan Raza

sukun-e-qalb pana hai to sajda-rez ho jao

Rasheed Khan Raza

MORE BYRasheed Khan Raza

    sukūn-e-qalb paanā hai to sajda-rez ho jaao

    banānā hai muqaddar ko to phir tabrez ho jaao

    jahāñ meñ kis changezī rahī socho zarā yaaro

    ye kis ne kah diyā tum se ki tum changez ho jaao

    hameñ ham se judā karne jur.at hai yahāñ kis meñ

    laḌāo aur jahāñ-bānī karo añgrez ho jaao

    kahīñ khetī harī aḳhlāq banjar na ho jaa.e

    ḳhulūs-o-pyār paikar bano zarḳhez ho jaao

    bujhāne tishnagī apnī zamāna chal ke aa.egā

    'razā' pahle samundar tarah labrez ho jaao

    sukun-e-qalb pana hai to sajda-rez ho jao

    banana hai muqaddar ko to phir tabrez ho jao

    jahan mein kis ki changezi rahi socho zara yaro

    ye kis ne kah diya tum se ki tum changez ho jao

    hamein hum se juda karne ki jurat hai yahan kis mein

    laDao aur jahan-bani karo angrez ho jao

    kahin kheti hari aKHlaq ki banjar na ho jae

    KHulus-o-pyar ka paikar bano zarKHez ho jao

    bujhane tishnagi apni zamana chal ke aaega

    'raza' pahle samundar ki tarah labrez ho jao

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 198)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now