Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai

Kamal Kataria Karan

sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai

Kamal Kataria Karan

MORE BYKamal Kataria Karan

    sukūn jis ko samajh ke dāman meñ rakh liyā vo tamām dukh hai

    jise mohabbat samajh rahe the huzūr us naam dukh hai

    qafas meñ tanhā.ī ke alāva bhī ek shai hai jo mo'atabar hai

    maiñ tajrabe se ye kah rahā huuñ sahūlatoñ nizām dukh hai

    adab karūñ ki lihāz ahmaq nafas nafas par huā hai qābiz

    najāt mushkil hai ab to goyā mire badan imaam dukh hai

    sañbhāltā huuñ baḌī muravvat se apne dil meñ tumhāre tohfe

    mirī taraf se tumhāre baḳhshe alam bas ehtirām dukh hai

    kamāl hai ye ab unsiyat ke tamām pahlū badal ga.e haiñ

    jo marhala thā masarratoñ ab ishq vo maqām dukh hai

    kise chuneñgī ye faisla ham tirī nigāhoñ pe chhoḌte haiñ

    tamāsh-bīñ hai mirī mohabbat fareb-e-ulfat ba-nām dukh hai

    tumhāre hisse ke din sunahre tumhāre hisse raat pūnam

    hamāre hisse udaas sub.heñ hamāre hisse shaam dukh hai

    hazār aañsū udāsiyāñ ġham ye dard mazmūn-e-shā.erī haiñ

    suno kabhī ġhaur se to jaano 'karan' har ik kalām dukh hai

    sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai

    jise mohabbat samajh rahe the huzur us ka hi nam dukh hai

    qafas mein tanhai ke alawa bhi ek shai hai jo mo'atabar hai

    main tajrabe se ye kah raha hun sahulaton ka nizam dukh hai

    adab karun ki lihaz ahmaq nafas nafas par hua hai qabiz

    najat mushkil hai ab to goya mere badan ka imam dukh hai

    sanbhaalta hun baDi murawwat se apne dil mein tumhaare tohfe

    meri taraf se tumhaare baKHshe alam ka bas ehtiram dukh hai

    kamal hai ye ab unsiyat ke tamam pahlu badal gae hain

    jo marhala tha masarraton ka ab ishq ka wo maqam dukh hai

    kise chunengi ye faisla hum teri nigahon pe chhoDte hain

    tamash-bin hai meri mohabbat fareb-e-ulfat ba-nam dukh hai

    tumhaare hisse ke din sunahre tumhaare hisse ki raat punam

    hamare hisse udas subhen hamare hisse ki sham dukh hai

    hazar aansu udasiyan gham ye dard mazmun-e-shaeri hain

    suno kabhi ghaur se to jaano 'karan' ka har ek kalam dukh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now