Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun ka ek bhi lamha jo dil ko milta hai

Shaheen Siddiqui

sukun ka ek bhi lamha jo dil ko milta hai

Shaheen Siddiqui

MORE BYShaheen Siddiqui

    sukūñ ek bhī lamha jo dil ko miltā hai

    ye dil ḳhayāl vaadī meñ nikaltā hai

    ye raushnī mire dil meñ tire ḳhayāloñ

    ki ik charāġh vīrāñ-kade meñ jaltā hai

    mahak rahī hai tirī yaad kalī aise

    ki phuul jaise bayābāñ meñ koī khiltā hai

    ḳhalā meñ merī nazar jab kahīñ aTaktī hai

    tire vajūd paikar vahīñ pe Dhaltā hai

    nazar meñ taare se 'shāhīñ' chamakne lagte haiñ

    ye dil jo shiddat-e-jazbāt se machaltā hai

    sukun ka ek bhi lamha jo dil ko milta hai

    ye dil KHayal ki wadi mein ja nikalta hai

    ye raushni mere dil mein tere KHayalon ki

    ki ek charagh sa viran-kade mein jalta hai

    mahak rahi hai teri yaad ki kali aise

    ki phul jaise bayaban mein koi khilta hai

    KHala mein meri nazar jab kahin aTakti hai

    tere wajud ka paikar wahin pe Dhalta hai

    nazar mein tare se 'shahin' chamakne lagte hain

    ye dil jo shiddat-e-jazbaat se machalta hai

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 119)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now