Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar

Shahzad Ahmad

sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    sukūn kuchh to milā dil mājrā likh kar

    lifāfa phaaḌ diyā phir tirā pata likh kar

    samajh meñ ye nahīñ aatā ḳhitāb kaise karūñ

    hurūf kaaT diye maiñ ne bār-hā likh kar

    qalam ne Tokā bhī dil sadā ne rokā bhī

    magar jo us ne kahā maiñ ne de diyā likh kar

    hujūm-e-ġham meñ zabāñ saath jab na de paa.ī

    jo haal dil thā maiñ ne sunā diyā likh kar

    ab us baaī hai ab iḳhtiyār us hai

    kahīñ maiñ na rahā us ko bevafā likh kar

    bhalā koī bhī ik naam us rakh lenā

    par us ke naam ko āñkhoñ se chūmnā likh kar

    maiñ apnī hasrat-e-dil hisāb kaise duuñ

    ye Dher maiñ ne lagāyā zarā zarā likh kar

    mujhe to apne liye rāsta tarāshnā hai

    maiñ kyā karūñgā kisī likhā huā likh kar

    milī hai us ke sabab itnī raushnī 'shahzād'

    bujhā diye ka.ī sūraj use diyā likh kar

    sukun kuchh to mila dil ka majra likh kar

    lifafa phaD diya phir tera pata likh kar

    samajh mein ye nahin aata KHitab kaise karun

    huruf kaT diye main ne bar-ha likh kar

    qalam ne Toka bhi dil ki sada ne roka bhi

    magar jo us ne kaha main ne de diya likh kar

    hujum-e-gham mein zaban sath jab na de pai

    jo haal dil ka tha main ne suna diya likh kar

    ab us ki bai hai ab iKHtiyar us ka hai

    kahin ka main na raha us ko bewafa likh kar

    bhala sa koi bhi ek nam us ka rakh lena

    par us ke nam ko aankhon se chumna likh kar

    main apni hasrat-e-dil ka hisab kaise dun

    ye Dher main ne lagaya zara zara likh kar

    mujhe to apne liye rasta tarashna hai

    main kya karunga kisi ka likha hua likh kar

    mili hai us ke sabab itni raushni 'shahzad'

    bujha diye kai suraj use diya likh kar

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 957)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now