aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun nasib hai par apne ghar ki had tak hai

Haris Bilal

sukun nasib hai par apne ghar ki had tak hai

Haris Bilal

MORE BYHaris Bilal

    sukūñ nasīb hai par apne ghar had tak hai

    koī to hai ki jo dīvār-o-dar had tak hai

    maiñ chāhtā huuñ ki duniyā meñ kuchh baḌā kar jā.ūñ

    mirā zamāna magar ḳhair-o-shar had tak hai

    abhī vo chhat pe khaḌe ho ke haath señkte haiñ

    abhī ye aag faqat mere ghar had tak hai

    koī tulūa huā aur dhuñd chhāne lagī

    mujhe lagā thā añdherā sahar had tak hai

    huzūr dūsrī manzil pe rahnā bhī dukh hai

    ki ghar peḌ bhī mujh par samar had tak hai

    mire paḌos ke ūñche chaubāroñ vaale log

    mujhe batāte haiñ duniyā nazar had tak hai

    sukun nasib hai par apne ghar ki had tak hai

    koi to hai ki jo diwar-o-dar ki had tak hai

    main chahta hun ki duniya mein kuchh baDa kar jaun

    mera zamana magar KHair-o-shar ki had tak hai

    abhi wo chhat pe khaDe ho ke hath senkte hain

    abhi ye aag faqat mere ghar ki had tak hai

    koi tulua hua aur dhund chhane lagi

    mujhe laga tha andhera sahar ki had tak hai

    huzur dusri manzil pe rahna bhi dukh hai

    ki ghar ka peD bhi mujh par samar ki had tak hai

    mere paDos ke unche chaubaron wale log

    mujhe batate hain duniya nazar ki had tak hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now