Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun nasib na ho dur iztirab na ho

Ziya Allahabadi

sukun nasib na ho dur iztirab na ho

Ziya Allahabadi

MORE BYZiya Allahabadi

    sukūñ nasīb na ho duur iztirāb na ho

    vo dard de mujhe jis koī javāb na ho

    husūl-e-hāsil-e-ulfat meñ yuuñ ḳharāb na ho

    fuzūl dil kahīñ vābastā-e-azāb na ho

    sharāb-e-nāb har mauj par mujhe shak hai

    kisī hasīñ machaltā huā shabāb na ho

    uThā ba-shauq qadam tishna-kām-e-vādī-e-ishq

    tirī nigāh hāsil kahīñ sarāb na ho

    kisī ke tīr-e-nazar dil meñ is adā se chubheñ

    ki zaḳhm gahre paḌeñ dil meñ iztirāb na ho

    ye dil-farebī-e-har-barg-e-gul are tauba

    jamāl-e-nāz bikhrī huī kitāb na ho

    javāb-e-arz-e-tamanna se dil rahā mahrūm

    vo kyā savāl jo sharminda-e-javāb na ho

    jamāl-e-tūr jise kah rahe haiñ ahl-e-jamāl

    kahīñ vo husn ik partav-e-naqāb na ho

    vafā shīsha-e-dil bhī hai kitnā nāzuk

    ajab hunar hai ki is koī javāb na ho

    jahān-e-dil jo zarra hai vo munavvar hai

    vo dāġh-e-dil nahīñ jo rashk-e-āftāb na ho

    mizāj-e-husn haqīqat meñ ik qayāmat hai

    kisī ke shauq meñ insāñ koī ḳharāb na ho

    nigāh-e-shauq 'ziyā' ham use na māneñge

    jo bārgāh-e-tajalli meñ bāryāb na ho

    sukun nasib na ho dur iztirab na ho

    wo dard de mujhe jis ka koi jawab na ho

    husul-e-hasil-e-ulfat mein yun KHarab na ho

    fuzul dil kahin wabasta-e-azab na ho

    sharab-e-nab ki har mauj par mujhe shak hai

    kisi hasin ka machalta hua shabab na ho

    uTha ba-shauq qadam tishna-kaam-e-wadi-e-ishq

    teri nigah ka hasil kahin sarab na ho

    kisi ke tir-e-nazar dil mein is ada se chubhen

    ki zaKHm gahre paDen dil mein iztirab na ho

    ye dil-farebi-e-har-barg-e-gul are tauba

    jamal-e-naz ki bikhri hui kitab na ho

    jawab-e-arz-e-tamanna se dil raha mahrum

    wo kya sawal jo sharminda-e-jawab na ho

    jamal-e-tur jise kah rahe hain ahl-e-jamal

    kahin wo husn ka ek partaw-e-naqab na ho

    wafa ka shisha-e-dil bhi hai kitna nazuk sa

    ajab hunar hai ki is ka koi jawab na ho

    jahan-e-dil ka jo zarra hai wo munawwar hai

    wo dagh-e-dil nahin jo rashk-e-aftab na ho

    mizaj-e-husn haqiqat mein ek qayamat hai

    kisi ke shauq mein insan koi KHarab na ho

    nigah-e-shauq 'ziya' hum use na manenge

    jo bargah-e-tajalli mein baryab na ho

    Source:

    (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now