sukut-e-shab mein larazte hain wahime tere
sukūt-e-shab meñ larazte haiñ vāhime tere
ḳhamoshiyoñ meñ utarte haiñ qāfile tere
bikhar rahe haiñ rag-e-jān kī aziyyat meñ
nuzūl-e-dard meñ poshīda silsile tere
agarche hone ko hotā bahut hai duniyā meñ
kabhī rahe na muravvat se vāste tere
tū aa.egā ki nahīñ kaun jaan pā.egā
thame hue haiñ tazabzub meñ faisle tere
ye tīrgī jo bhaTaktī hai merī āñkhoñ meñ
isī ke pair meñ jalte haiñ aable tere
shab-e-visāl bhī ruḳhsat huā añdhere meñ
sahar ne dekh liye aaj hausle tere
tilism-e-ḳhvāb hai terā mirā fasāna bhī
ki merī aañkh meñ barpā haiñ sānahe tere
sukut-e-shab mein larazte hain wahime tere
KHamoshiyon mein utarte hain qafile tere
bikhar rahe hain rag-e-jaan ki aziyyat mein
nuzul-e-dard mein poshida silsile tere
agarche hone ko hota bahut hai duniya mein
kabhi rahe na murawwat se waste tere
tu aaega ki nahin kaun jaan paega
thame hue hain tazabzub mein faisle tere
ye tirgi jo bhaTakti hai meri aankhon mein
isi ke pair mein jalte hain aable tere
shab-e-visal bhi ruKHsat hua andhere mein
sahar ne dekh liye aaj hausle tere
tilism-e-KHwab hai tera mera fasana bhi
ki meri aankh mein barpa hain sanahe tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.