Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sulagti yaad se KHun aT na jae

Hanif Tarin

sulagti yaad se KHun aT na jae

Hanif Tarin

MORE BYHanif Tarin

    sulagtī yaad se ḳhuuñ aT na jaa.e

    dhueñ se dil khaa.ī paT na jaa.e

    na.ī fikroñ se bhejā phaT na jaa.e

    jo ġham merā hai sab meñ baT na jaa.e

    sarāboñ ko jalā.e rakh ki jab tak

    ye chīḳheñ mārtī shab haT na jaa.e

    musalsal bārish-e-uftād sah kar

    saḌak paimā.ishoñ kaT na jaa.e

    badan ghar hai dīmak phailne se

    ye Dar hai dil rauzan chaT na jaa.e

    sadā-e-rañg chhū kar pāniyoñ

    ghaTā taḳhlīqiyat chhaT na jaa.e

    'hanīf' aayā hai tum se chāñd milne

    darāzī dekho shab ghaT na jaa.e

    sulagti yaad se KHun aT na jae

    dhuen se dil ki khai paT na jae

    nai fikron se bheja phaT na jae

    jo gham mera hai sab mein baT na jae

    sarabon ko jalae rakh ki jab tak

    ye chiKHen marti shab haT na jae

    musalsal barish-e-uftad sah kar

    saDak paimaishon ki kaT na jae

    badan ka ghar hai dimak phailne se

    ye Dar hai dil ka rauzan chaT na jae

    sada-e-rang chhu kar paniyon ka

    ghaTa taKHliqiyat ki chhaT na jae

    'hanif' aaya hai tum se chand milne

    daraazi dekho shab ki ghaT na jae

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 616)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now