Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain

Muneer Niyazi

sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    sun bastiyoñ haal jo had se guzar ga.iiñ

    un ummatoñ zikr jo rastoñ meñ mar ga.iiñ

    kar yaad un dinoñ ko ki ābād thiiñ yahāñ

    galiyāñ jo ḳhaak o ḳhuun dahshat se bhar ga.iiñ

    sarsar zad meñ aa.e hue bām-o-dar ko dekh

    kaisī havā.eñ kaisā nagar sard kar ga.iiñ

    kyā baab the yahāñ jo sadā se nahīñ khule

    kaisī duā.eñ thiiñ jo yahāñ be-asar ga.iiñ

    tanhā ujaaḌ burjoñ meñ phirtā hai 'munīr'

    vo zar-fishāniyāñ tire ruḳh kidhar ga.iiñ

    sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain

    un ummaton ka zikr jo raston mein mar gain

    kar yaad un dinon ko ki aabaad thin yahan

    galiyan jo KHak o KHun ki dahshat se bhar gain

    sarsar ki zad mein aae hue baam-o-dar ko dekh

    kaisi hawaen kaisa nagar sard kar gain

    kya bab the yahan jo sada se nahin khule

    kaisi duaen thin jo yahan be-asar gain

    tanha ujaD burjon mein phirta hai tu 'munir'

    wo zar-fishaniyan tere ruKH ki kidhar gain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sun bastiyon ka haal jo had se guzar gain Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now