Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sun mere dil ki zara aawaz dost

Iqbal Tariq

sun mere dil ki zara aawaz dost

Iqbal Tariq

MORE BYIqbal Tariq

    sun mire dil zarā āvāz dost

    ai mire mohsin mire hamrāz dost

    dil meñ hai ik vahshat-e-karb-o-balā

    mire siine meñ bajtā saaz dost

    jo tapish sūraj sah sakte nahīñ

    vo kiyā karte nahīñ parvāz dost

    dard sahne meñ jinheñ lazzat milī

    sake vo log e.ajāz dost

    zindagī bhar jo na bhar paa.e kabhī

    baḳhsh is zaḳhm e.azāz dost

    kyā ḳhulūs-e-ādamiyat hai yahī

    zindagī hai yahī andāz dost

    kyā batā.eñ rāz-e-dil ab ham tujhe

    dil se kab chhuptā hai koī raaz dost

    maut hai va.ada vafā karne naam

    ik hayāt-e-nau hai āġhāz dost

    ḳhvāb hai 'tāriq' ḳhayāl-e-zindagī

    pyaas sahrā tirī āvāz dost

    sun mere dil ki zara aawaz dost

    ai mere mohsin mere hamraaz dost

    dil mein hai ek wahshat-e-karb-o-bala

    tu mere sine mein bajta saz dost

    jo tapish suraj ki sah sakte nahin

    wo kiya karte nahin parwaz dost

    dard sahne mein jinhen lazzat mili

    pa sake wo log hi eajaz dost

    zindagi bhar jo na bhar pae kabhi

    baKHsh tu is zaKHm ka eazaz dost

    kya KHulus-e-adamiyat hai yahi

    zindagi ka hai yahi andaz dost

    kya bataen raaz-e-dil ab hum tujhe

    dil se kab chhupta hai koi raaz dost

    maut hai wada wafa karne ka nam

    ek hayat-e-nau ka hai aaghaz dost

    KHwab hai 'tariq' KHayal-e-zindagi

    pyas ka sahra teri aawaz dost

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now