Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

Wajid Ali Shah Akhtar

sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

Wajid Ali Shah Akhtar

MORE BYWajid Ali Shah Akhtar

    Interesting Fact

    Nazm: Naamoor

    sun rakkho use dil lagānā nahīñ achchhā

    duniyā ye burī hai ye zamāna nahīñ achchhā

    sab luuT liyā ek nazar dekh ke mujh ko

    ai duzd-e-nigah dil churānā nahīñ achchhā

    kyuuñ jheñpte ho ġhairoñ meñ haañ phir to kaho vo

    gaalī to thī baat banānā nahīñ achchhā

    uryāñ-badanī par na habāboñ paḌe aañkh

    dariyā meñ mirī jaan nahānā nahīñ achchhā

    afsos sūrat na banāo na rulāo

    dil pista hai hoñToñ chabānā nahīñ achchhā

    rote haiñ hañsāte ho bharī bazm meñ sāhab

    chup baiThe raho dhyān baTānā nahīñ achchhā

    kūche se chale jā.iye 'aḳhtar' kahīñ ab aur

    mazmūn bahut ishq chhānā nahīñ achchhā

    sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

    duniya ye buri hai ye zamana nahin achchha

    sab luT liya ek nazar dekh ke mujh ko

    ai duzd-e-nigah dil ka churana nahin achchha

    kyun jhenpte ho ghairon mein han phir to kaho wo

    gali hi to thi baat banana nahin achchha

    uryan-badani par na hababon ki paDe aankh

    dariya mein meri jaan nahana nahin achchha

    afsos ki surat na banao na rulao

    dil pista hai honTon ka chabana nahin achchha

    rote hain hansate ho bhari bazm mein sahab

    chup baiThe raho dhyan baTana nahin achchha

    kuche se chale jaiye 'aKHtar' kahin ab aur

    mazmun bahut ishq ka chhana nahin achchha

    Source:

    Intikhab-e-wajid ali shah akhtar (Pg. B-97 E-98)

    • Author: Wajid Ali Shah Akhtar
      • Edition: 1984
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now