Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to

Saail Dehlvi

suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to

Saail Dehlvi

MORE BYSaail Dehlvi

    sunā bhī kabhī mājrā dard-o-ġham kisī dil-jale zabānī kaho to

    nikal aa.eñ aañsū kaleja pakaḌ lo karūñ arz apnī kahānī kaho to

    tumheñ rañg-e-mai shaiḳh marġhūb kyā hai gulābī ho za.afrānī kaho to

    pilā.e koī sāqi-e-hūr-paikar musaffā kashīda purānī kaho to

    tamannā-e-dīdār hai hasrat-e-dil ki tum jalva-farmā ho maiñ āñkheñ sekūñ

    na kah denā muusā se jaise kahā thā mirī arz par lan-tarānī kaho to

    vafā-pesha āshiq nahīñ dekhā tum ne mujhe dekh lo jāñch lo aazmā lo

    tumhāre ishāre pe qurbān kar duuñ abhī māya-e-zindagānī kaho to

    kahāñ maiñ kahāñ dāstāñ taqāzā mire zabt-e-dard-e-nihāñ hai kahnā

    phir us par ye tākīd bhī hai barābar na kahnā purānī kahānī kaho to

    mire nāma-e-shauq satr meñ hai jagah ik jo saada vo mohmal nahīñ hai

    maiñ ho jā.ūñ ḳhidmat meñ hāzir abhī ḳhud batāne ko is ke ma.ānī kaho to

    suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to

    nikal aaen aansu kaleja pakaD lo karun arz apni kahani kaho to

    tumhein rang-e-mai shaiKH marghub kya hai gulabi ho ya zafrani kaho to

    pilae koi saqi-e-hur-paikar musaffa kashida purani kaho to

    tamanna-e-didar hai hasrat-e-dil ki tum jalwa-farma ho main aankhen sekun

    na kah dena musa se jaise kaha tha meri arz par lan-tarani kaho to

    wafa-pesha aashiq nahin dekha tum ne mujhe dekh lo jaanch lo aazma lo

    tumhaare ishaare pe qurban kar dun abhi maya-e-zindagani kaho to

    kahan main kahan dastan ka taqaza mere zabt-e-dard-e-nihan ka hai kahna

    phir us par ye takid bhi hai barabar na kahna purani kahani kaho to

    mere nama-e-shauq ki satr mein hai jagah ek jo sada wo mohmal nahin hai

    main ho jaun KHidmat mein hazir abhi KHud batane ko is ke maani kaho to

    Source:

    Noquush (Pg. B-311 E-327)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now