Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi

Ahmad Jahangir

suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi

Ahmad Jahangir

MORE BYAhmad Jahangir

    sunā hai kīchaḌ ke sūkhne par hayāt cholā badal rahī thī

    shajar se nīche utar ke ḳhilqat nahīf qadmoñ pe chal rahī thī

    vasī.a raqbe be-nihāyat ḳhatīr malba simaT rahā thā

    za.iif taare dhoñknī se muhīb zulmat ubal rahī thī

    tavāf kartī havā ronā matāf meñ ġhul machā rahā thā

    haram ke phāTak se bain kartī koī savārī nikal rahī thī

    vabā aafat tāziyāna siyāh pushtoñ pe paḌ chukā thā

    nigār-ḳhāne ke tāqche meñ ḳhabar hāñDī ubal rahī thī

    falak ke koThe pe dekhtā huuñ nayā sitāra chamak rahā hai

    zamīñ pe girne se qabl shāyad shuā qarnoñ se chal rahī thī

    salām kartī huī sahar kivāḌ chaupaT khulā huā thā

    falak nīlam chamak rahā thā nadī meñ chāñdī pighal rahī thī

    safar saf.ha khulā to us par fanā naqsha banā huā thā

    hamārā nashsha utar chukā thā hamārī mastī sañbhal rahī thī

    suna hai kichaD ke sukhne par hayat chola badal rahi thi

    shajar se niche utar ke KHilqat nahif qadmon pe chal rahi thi

    wasia raqbe ka be-nihayat KHatir malba simaT raha tha

    zaif tare ki dhonkni se muhib zulmat ubal rahi thi

    tawaf karti hawa ka rona mataf mein ghul macha raha tha

    haram ke phaTak se bain karti koi sawari nikal rahi thi

    waba ki aafat ka taziyana siyah pushton pe paD chuka tha

    nigar-KHane ke taqche mein KHabar ki hanDi ubal rahi thi

    falak ke koThe pe dekhta hun naya sitara chamak raha hai

    zamin pe girne se qabl shayad shua qarnon se chal rahi thi

    salam karti hui sahar ka kiwaD chaupaT khula hua tha

    falak ka nilam chamak raha tha nadi mein chandi pighal rahi thi

    safar ka safha khula to us par fana ka naqsha bana hua tha

    hamara nashsha utar chuka tha hamari masti sanbhal rahi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now