Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna hai teri zamane pe hukmarani hai

Shahid Ghazi

suna hai teri zamane pe hukmarani hai

Shahid Ghazi

MORE BYShahid Ghazi

    sunā hai terī zamāne pe hukmarānī hai

    magar na bhuul ki do din zindagānī hai

    chaman saarī bahāroñ ke tum mālik ho

    faqat hamāre muqaddar meñ bāġhbānī hai

    maiñ kaise chhoḌ duuñ ghar ko kamā.ī ḳhātir

    maiñ ik ġharīb huuñ biTiyā mirī siyānī hai

    hisār-e-behisī hargiz na toḌ pā.eñge

    vo jin ko dosto sham-e-amal bujhānī hai

    bahāo khul ke ġharīboñ be-kasoñ lahū

    nasīb se tumheñ hāsil zar-o-javānī hai

    ḳhudā raah pe chal kar dikhā.iye 'ġhāzī'

    jo kāmyāb tumheñ zindagī banānī hai

    suna hai teri zamane pe hukmarani hai

    magar na bhul ki do din ki zindagani hai

    chaman ki sari bahaaron ke tum hi malik ho

    faqat hamare muqaddar mein baghbani hai

    main kaise chhoD dun ghar ko kamai ki KHatir

    main ek gharib hun biTiya meri siyani hai

    hisar-e-behisi hargiz na toD paenge

    wo jin ko dosto sham-e-amal bujhani hai

    bahao khul ke gharibon ka be-kason ka lahu

    nasib se tumhein hasil zar-o-jawani hai

    KHuda ki rah pe chal kar dikhaiye 'ghazi'

    jo kaamyab tumhein zindagi banani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now