suna karo meri jaan in se un se afsane
sunā karo mirī jaañ in se un se afsāne
sab ajnabī haiñ yahāñ kaun kis ko pahchāne
yahāñ se jald guzar jaao qāfile vaalo
haiñ merī pyaas ke phūñke hue ye vīrāne
mire junūn-e-parastish se tañg aa ga.e log
sunā hai band kiye jā rahe haiñ but-ḳhāne
jahāñ se pichhle pahar koī tishna-kām uThā
vahīñ pe toḌe haiñ yāroñ ne aaj paimāne
bahār aa.e to merā salām kah denā
mujhe to aaj talab kar liyā hai sahrā ne
huā hai hukm ki 'kaifī' ko sañgsār karo
masīh baiThe haiñ chhup ke kahāñ ḳhudā jaane
suna karo meri jaan in se un se afsane
sab ajnabi hain yahan kaun kis ko pahchane
yahan se jald guzar jao qafile walo
hain meri pyas ke phunke hue ye virane
mere junun-e-parastish se tang aa gae log
suna hai band kiye ja rahe hain but-KHane
jahan se pichhle pahar koi tishna-kaam uTha
wahin pe toDe hain yaron ne aaj paimane
bahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
hua hai hukm ki 'kaifi' ko sangsar karo
masih baiThe hain chhup ke kahan KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.