sunahri dhup khili hai kai dinon ke baad
sunahrī dhuup khilī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
phir un se baat huī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
suroñ meñ shaam sajī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
ġhazal ko raah milī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
kiran kiran tirā chehra zamīñ meñ utrā hai
ki aisī sub.h huī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
ye kis ne chaar dishāoñ meñ itr chhiḌkā hai
fazā mahak sī ga.ī hai ka.ī dinoñ ke ba.ad
sunahri dhup khili hai kai dinon ke baad
phir un se baat hui hai kai dinon ke baad
suron mein sham saji hai kai dinon ke baad
ghazal ko rah mili hai kai dinon ke baad
kiran kiran tera chehra zamin mein utra hai
ki aisi subh hui hai kai dinon ke baad
ye kis ne chaar dishaon mein itr chhiDka hai
faza mahak si gai hai kai dinon ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.