Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan

Parveen Shakir

sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan

Parveen Shakir

MORE BYParveen Shakir

    sundar komal sapnoñ bārāt guzar ga.ī jānāñ

    dhuup āñkhoñ tak aa pahuñchī hai raat guzar ga.ī jānāñ

    bhor samay tak jis ne hameñ bāham uljhā.e rakkhā

    vo albelī resham aisī baat guzar ga.ī jānāñ

    sadā dekhī raat hameñ is baar milī to chupke se

    ḳhālī baat pe rakh ke kyā sauġhāt guzar ga.ī jānāñ

    kis koñpal aas meñ ab tak vaise sarsabz ho tum

    ab to dhuup mausam hai barsāt guzar ga.ī jānāñ

    log na jaane kin rātoñ murādeñ māñgā karte haiñ

    apnī raat to vo jo tere saat guzar ga.ī jānāñ

    ab to faqat sayyād dildārī bahāna hai varna

    ham ko daam meñ laane vaalī ghaat guzar ga.ī jānāñ

    sundar komal sapnon ki baraat guzar gai jaanan

    dhup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gai jaanan

    bhor samay tak jis ne hamein baham uljhae rakkha

    wo albeli resham aisi baat guzar gai jaanan

    sada ki dekhi raat hamein is bar mili to chupke se

    KHali baat pe rakh ke kya saughat guzar gai jaanan

    kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sarsabz ho tum

    ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai jaanan

    log na jaane kin raaton ki muraden manga karte hain

    apni raat to wo jo tere sat guzar gai jaanan

    ab to faqat sayyaad ki dildari ka bahana hai warna

    hum ko dam mein lane wali ghat guzar gai jaanan

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Tahira Syed

    Tahira Syed

    Teena Sani

    Teena Sani

    Pankaj Udhas

    Pankaj Udhas

    Source:

    kulliyat-e-tamaam-sad barg (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now