Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sune gae hain rafu-gar ye guftugu karte

Mubarak Shamim

sune gae hain rafu-gar ye guftugu karte

Mubarak Shamim

MORE BYMubarak Shamim

    sune ga.e haiñ rafū-gar ye guftugū karte

    ham us jale hue dāman meñ kyā rafū karte

    agar ham un se ġham-e-dil aarzū karte

    vo ke ā.ina-e-hashr rū-ba-rū karte

    adā-shanās thā saaqī to phir tajāhul kyoñ

    uThe haiñ bazm se kitne subū subū karte

    khaḌe hue haiñ ḳhudī ke basīt sahrā meñ

    nikalte is se to phir terī justujū karte

    kabhī nasīb na hotī ye dard lazzat

    agar ḳharāb ham ashkoñ aabrū karte

    'shamīm' kaash isī haal meñ guzar jaatī

    vo ham ko DhūñDte ham un justujū karte

    sune gae hain rafu-gar ye guftugu karte

    hum us jale hue daman mein kya rafu karte

    agar hum un se gham-e-dil ki aarzu karte

    wo la ke aaina-e-hashr ru-ba-ru karte

    ada-shanas tha saqi to phir tajahul kyon

    uThe hain bazm se kitne subu subu karte

    khaDe hue hain KHudi ke basit sahra mein

    nikalte is se to phir teri justuju karte

    kabhi nasib na hoti ye dard ki lazzat

    agar KHarab hum ashkon ki aabru karte

    'shamim' kash isi haal mein guzar jati

    wo hum ko DhunDte hum un ki justuju karte

    Source:

    Aab-o-Hawa (Pg. 57)

    • Author: Mubarak Shamim
      • Publisher: Mubarak Shamim
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now