Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sunoge mujhse mera majra kya

Ismail Merathi

sunoge mujhse mera majra kya

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    sunoge mujh se merā mājrā kyā

    kahā karte haiñ afsānoñ meñ kyā kyā

    nahīñ tashvīsh-e-ā.inda ki ho kab

    guzishta tahayyur hai ki thā kyā

    na kar taftīsh hai ḳhalvat-nashīñ kaun

    ta.ammul kar ki hai ye barmalā kyā

    hai ik ā.īna-ḳhāna bazm-e-kasrat

    batā.ūñ ġhair kis ko mā-sivā kyā

    faqat mazkūr hai ik nisbat-e-ḳhās

    muqaddar hai ḳhabar kyā mubtadā kyā

    jahāñ naqsh-e-qadam ho rūh-e-qudsī

    vahāñ pahuñchegī aql-e-nā-rasā kyā

    lagā.ūñ shai.an-lillāh sadā kyuuñ

    bhulā duuñ yaf.alullāh-mā-yashā kyā

    sunoge mujh se mera majra kya

    kaha karte hain afsanon mein kya kya

    nahin tashwish-e-ainda ki ho kab

    guzishta ka tahayyur hai ki tha kya

    na kar taftish hai KHalwat-nashin kaun

    tammul kar ki hai ye barmala kya

    hai ek aaina-KHana bazm-e-kasrat

    bataun ghair kis ko ma-siwa kya

    faqat mazkur hai ek nisbat-e-KHas

    muqaddar hai KHabar kya mubtada kya

    jahan naqsh-e-qadam ho ruh-e-qudsi

    wahan pahunchegi aql-e-na-rasa kya

    lagaun shaian-lillah ki sada kyun

    bhula dun yafalullah-ma-yasha kya

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-473 page-285)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now