Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sunsan raston pe teri yaad ne kaha

Khurshid Ahmad Jami

sunsan raston pe teri yaad ne kaha

Khurshid Ahmad Jami

MORE BYKhurshid Ahmad Jami

    sunsān rāstoñ pe tirī yaad ne kahā

    hālāt fareb bhī kitnā hasīn thā

    ab ke bhī dard-mand bahāroñ ne jā-ba-jā

    phūloñ taḳhtiyoñ pe tirā naam likh diyā

    raat ek ajnabī tarah ghūmtī rahī

    din ek falsafī tarah sochtā rahā

    har tīrgī ne mujh se ujāloñ baat

    har zahr ittifāq se tiryāk bin gayā

    chamkā rahī hai ġham ke añdheroñ ko duur tak

    kirnoñ sīḌhiyoñ se utartī huī sadā

    yuuñ dil ke aas paas hai ḳhvāboñ raushnī

    jaise kisī galī meñ darīcha ho niim

    'jāmī' jo zindagī se ziyāda 'azīz the

    in ko bhī zindagī tarah bhūlnā paḌā

    sunsan raston pe teri yaad ne kaha

    haalat ka fareb bhi kitna hasin tha

    ab ke bhi dard-mand bahaaron ne ja-ba-ja

    phulon ki taKHtiyon pe tera nam likh diya

    raat ek ajnabi ki tarah ghumti rahi

    din ek falsafi ki tarah sochta raha

    har tirgi ne mujh se ujalon ki baat ki

    har zahr ittifaq se tiryak bin gaya

    chamka rahi hai gham ke andheron ko dur tak

    kirnon ki siDhiyon se utarti hui sada

    yun dil ke aas pas hai KHwabon ki raushni

    jaise kisi gali mein daricha ho nim wa

    'jami' jo zindagi se ziyaada 'aziz the

    in ko bhi zindagi ki tarah bhulna paDa

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 385)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now