Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sunta raha jo aql ki mahjub ho gaya

Hidayatullah

sunta raha jo aql ki mahjub ho gaya

Hidayatullah

MORE BYHidayatullah

    suntā rahā jo aql mahjūb ho gayā

    dil nazar se dekhā to mahbūb ho gayā

    kartā rahā jo ishq meñ apnī anā baat

    nazroñ se terī gir gayā ma.atūb ho gayā

    jis ne kabhī savāl uThāyā yaqīn par

    dil vo salīb-e-aql pe maslūb ho gayā

    jis par chalā thā roz tirī samt be-sabab

    rasta vo mere naam se mansūb ho gayā

    yuuñ to savāl aql ne soche ka.ī magar

    dil jalva-hā-e-husn se mar.ūb ho gayā

    aisī havā chalī hai ki ab tere shahr meñ

    mehr-o-vafā zikr bhī ma.ayūb ho gayā

    had se baḌhī talab to phir ik roz yuuñ huā

    tālib dayār-e-husn meñ matlūb ho gayā

    dekhā jise bhī terā jalva lagā mujhe

    har rang tere husn mandūb ho gayā

    kartā rahā huuñ aql tarvīj umr bhar

    phir shā.erī meñ bhī yahī uslūb ho gayā

    dil ke muāmlāt pe ġhālib kabhī na thā

    phir yuuñ huā ki aql se maġhlūb ho gayā

    likhtā rahā hai aaj 'hidāyat' jo hāl-e-dil

    qāsid ke haath aap maktūb ho gayā

    sunta raha jo aql ki mahjub ho gaya

    dil ki nazar se dekha to mahbub ho gaya

    karta raha jo ishq mein apni ana ki baat

    nazron se teri gir gaya matub ho gaya

    jis ne kabhi sawal uThaya yaqin par

    dil wo salib-e-aql pe maslub ho gaya

    jis par chala tha roz teri samt be-sabab

    rasta wo mere nam se mansub ho gaya

    yun to sawal aql ne soche kai magar

    dil jalwa-ha-e-husn se marub ho gaya

    aisi hawa chali hai ki ab tere shahr mein

    mehr-o-wafa ka zikr bhi mayub ho gaya

    had se baDhi talab to phir ek roz yun hua

    talib dayar-e-husn mein matlub ho gaya

    dekha jise bhi tera hi jalwa laga mujhe

    har rang tere husn ka mandub ho gaya

    karta raha hun aql ki tarwij umr bhar

    phir shaeri mein bhi yahi uslub ho gaya

    dil ke muamlat pe ghaalib kabhi na tha

    phir yun hua ki aql se maghlub ho gaya

    likhta raha hai aaj 'hidayat' jo haal-e-dil

    qasid ke hath aap hi maktub ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now