Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suragh mujhse milega na raunaq-e-shab ka

Jai Prakash Ghafil

suragh mujhse milega na raunaq-e-shab ka

Jai Prakash Ghafil

MORE BYJai Prakash Ghafil

    surāġh mujh se milegā na raunaq-e-shab

    charāġh to huuñ magar bujh chukā huuñ maiñ kab

    kahūñ zamīn to vo āsmāñ samajhtā hai

    kabhī khulā nahīñ aadmī hai kis Dhab

    ajiib Dhañg se thī justajū-e-zīst mujhe

    piyāla jaise koī tishna garmi-e-lab

    ḳhayāl-e-yār ke parde meñ ranj-e-duniyā thā

    sunā gayā hai kuchh aisā qissa ham sab

    uThe jo mahfil-e-duniyā se to huā ma.alūm

    ki dāġhdār hai dāman yahāñ to ham sab

    kiyā hai jis ne mujhe dar-ba-dar vo 'ġhāfil' hai

    ki maiñ varaq huuñ isī ālam-e-murattab

    suragh mujh se milega na raunaq-e-shab ka

    charagh to hun magar bujh chuka hun main kab ka

    kahun zamin to wo aasman samajhta hai

    kabhi khula hi nahin aadmi hai kis Dhab ka

    ajib Dhang se thi justaju-e-zist mujhe

    piyala jaise koi tishna garmi-e-lab ka

    KHayal-e-yar ke parde mein ranj-e-duniya tha

    suna gaya hai kuchh aisa hi qissa hum sab ka

    uThe jo mahfil-e-duniya se to hua malum

    ki daghdar hai daman yahan to hum sab ka

    kiya hai jis ne mujhe dar-ba-dar wo 'ghafil' hai

    ki main waraq hun isi aalam-e-murattab ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now