surḳh chashm itnī kahīñ hotī hai bedārī se
lahū utrā hai tirī āñkhoñ meñ ḳhūñ-ḳhvārī se
vaqt ruḳhsat ke tire ai mire jī ke dushman
thaam thaam aaj rakhā dil ko maiñ kis ḳhvārī se
bas maiñ aayā jo tumhāre use chāho so karo
kyā sitam aadmī sahtā nahīñ lāchārī se
kis ne nazroñ meñ ḳhudā jaane use mal Daalā
nargis aaj aañkh uThātī nahīñ bīmārī se
kyā kahūñ valvala-e-shauq ko tere maiñ 'amīr'
ghar meñ jaate haiñ parā.e to ḳhabardārī se
surKH chashm itni kahin hoti hai bedari se
lahu utra hai teri aankhon mein KHun-KHwari se
waqt ruKHsat ke tere ai mere ji ke dushman
tham tham aaj rakha dil ko main kis KHwari se
bas main aaya jo tumhaare use chaho so karo
kya sitam aadmi sahta nahin lachaari se
kis ne nazron mein KHuda jaane use mal Dala
nargis aaj aankh uThati nahin bimari se
kya kahun walwala-e-shauq ko tere main 'amir'
ghar mein jate hain parae to KHabardari se
Source :
- Book : Noquush (Pg. B-386 E399)
-
Publication : Nuqoosh Press Lahore
(May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.