aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKH honTon se mere dil pe nishani likh de

Kanwal Feroz

surKH honTon se mere dil pe nishani likh de

Kanwal Feroz

MORE BYKanwal Feroz

    surḳh hoñToñ se mire dil pe nishānī likh de

    mire naam ke aage kabhī jaanī likh de

    umr guzrī hai mirī shām-e-furāt-e-dil meñ

    maiñ huuñ pyāsā mire nusḳhe meñ paanī likh de

    ab tirī yaad bhī kam kam mujhe aatī hai

    jaane kis tarah se guzrī hai javānī likh de

    aarzū ek is dil meñ rahī hai raqsāñ

    koī mere liye shaam suhānī likh de

    mere afsāna-e-hastī meñ hai bhī shāmil

    mirī nāshād mohabbat kahānī likh de

    ain mumkin hai mire dil ko sukūñ mil jaa.e

    safha-e-dil pe koī yaad purānī likh de

    maiñ to 'ġhālib' muqallid huuñ 'kañval' mere liye

    mire ḳhāme ke muqaddar meñ ravānī likh de

    surKH honTon se mere dil pe nishani likh de

    tu mere nam ke aage kabhi jaani likh de

    umr guzri hai meri sham-e-furaat-e-dil mein

    main hun pyasa mere nusKHe mein tu pani likh de

    ab teri yaad bhi kam kam hi mujhe aati hai

    jaane kis tarah se guzri hai jawani likh de

    aarzu ek hi is dil mein rahi hai raqsan

    tu koi mere liye sham suhani likh de

    mere afsana-e-hasti mein hai tu bhi shamil

    meri nashad mohabbat ki kahani likh de

    ain mumkin hai mere dil ko sukun mil jae

    safha-e-dil pe koi yaad purani likh de

    main to 'ghaalib' ka muqallid hun 'kanwal' mere liye

    mere KHame ke muqaddar mein rawani likh de

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 584)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now