Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein

Sajjad Baluch

surKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein

Sajjad Baluch

MORE BYSajjad Baluch

    surḳh makāñ Dhaltā jaatā hai ik barfīlī miTTī meñ

    aur makīñ bhī dekh rahe haiñ ye tabdīlī miTTī meñ

    un galiyoñ ke ramz-o-kināya yuuñ vahshat-āsār hue

    meñ to dil chhoḌ ke bhāgā is lachkīlī miTTī meñ

    ḳhamyāza hai bām-o-dar par jaane kin barsātoñ

    nam-dīda pul ghuum rahe haiñ har sau siilī miTTī meñ

    ik sahrā meñ rone vaale pahle TuuT ke rote haiñ

    aur duā.eñ bo aate haiñ phir us giilī miTTī meñ

    kal bhar kar zahr uñDelā ham ne ḳhvāb fasloñ par

    har niilī ghaas ugī hai ab zahrīlī miTTī meñ

    ab shādāb ye hogī kar jaane kitne ashkoñ se

    jaane kitnā ḳhuun milegā aur is piilī miTTī meñ

    surKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein

    aur makin bhi dekh rahe hain ye tabdili miTTi mein

    un galiyon ke ramz-o-kinaya yun wahshat-asar hue

    mein to dil hi chhoD ke bhaga is lachkili miTTi mein

    KHamyaza hai baam-o-dar par jaane kin barsaton ka

    nam-dida pul ghum rahe hain har sau sili miTTi mein

    ek sahra mein rone wale pahle TuT ke rote hain

    aur duaen bo aate hain phir us gili miTTi mein

    kal ji bhar kar zahr unDela hum ne KHwab ki faslon par

    har su nili ghas ugi hai ab zahrili miTTi mein

    ab shadab ye hogi ja kar jaane kitne ashkon se

    jaane kitna KHun milega aur is pili miTTi mein

    Source:

    Hijrat-o-Hijr (Pg. 63)

    • Author: Sajjad Baluch
      • Edition: 2013
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now