Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKHi badan mein rang-e-wafa ki thi kuchh dinon

Kishwar Naheed

surKHi badan mein rang-e-wafa ki thi kuchh dinon

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    surḳhī badan meñ rañg-e-vafā thī kuchh dinoñ

    tāsīr ye bhī us duā thī kuchh dinoñ

    DhūñDe se us ke naqsh ulajhte the aur bhī

    hālat tamām karb-o-balā thī kuchh dinoñ

    kāġhaz pe thā likhā huā har harf-e-lab-kushā

    tahrīr jism-e-saut-o-sadā thī kuchh dinoñ

    shāḳhoñ pe koñpaloñ ko zabāneñ atā huiiñ

    ye dilbarī bhī dast-e-sabā thī kuchh dinoñ

    dil-sozi-e-vafā ko shakebā.ī atā

    shā.istagī ye rañg-e-hinā thī kuchh dinoñ

    ab hai kudūratoñ khulā dasht aur maiñ

    chāhat tamām terī razā thī kuchh dinoñ

    kaifiyat-e-nashāt thī ḳhud se guftugū

    'nāhīd' ye ridā bhī hayā thī kuchh dinoñ

    surKHi badan mein rang-e-wafa ki thi kuchh dinon

    tasir ye bhi us ki dua ki thi kuchh dinon

    DhunDe se us ke naqsh ulajhte the aur bhi

    haalat tamam karb-o-bala ki thi kuchh dinon

    kaghaz pe tha likha hua har harf-e-lab-kusha

    tahrir jism-e-saut-o-sada ki thi kuchh dinon

    shaKHon pe konpalon ko zabanen ata huin

    ye dilbari bhi dast-e-saba ki thi kuchh dinon

    dil-sozi-e-wafa ko shakebai ki ata

    shaistagi ye rang-e-hina ki thi kuchh dinon

    ab hai kuduraton ka khula dasht aur main

    chahat tamam teri raza ki thi kuchh dinon

    kaifiyat-e-nashat thi KHud hi se guftugu

    'nahid' ye rida bhi haya ki thi kuchh dinon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now