surma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
surma-e-muft-e-nazar huuñ mirī qīmat ye hai
ki rahe chashm-e-ḳharīdār pe ehsāñ merā
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālim
tere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā meñ hai jaulāñ merā
ḳhuuñ hai dil tañgi-e-vahshat se bayābāñ merā
zauq-e-sarshār se be-parda hai tūfāñ merā
mauj-e-ḳhamyāza hai har zaḳhm numāyāñ merā
'aish-bāzī-kada-e-hasrat jāved-rasā
ḳhūn-e-ādīna se rangīñ hai dabistāñ merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai
arz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ hai garebāñ merā
'ālam-e-be-sar-o-sāmānī-e-fursat mat pūchh
langar-e-vahshat-e-majnūñ hai bayābāñ merā
be-dimāġh tapish-e-rashk huuñ ai jalva-e-husn
tishna-e-ḳhūn-e-dil-o-dīda hai paimāñ merā
fahm zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil hai yā-rab
kis zabāñ meñ hai laqab ḳhvāb-e-pareshāñ merā
ba-havas-e-dard-e-sar-e-ahl-e-salāmat tā-chand
mushkil-e-ishq huuñ matlab nahīñ āsāñ merā
bū-e-yūsuf mujhe gulzār se aatī thī 'asad'
dai ne barbād kiyā pairahanistāñ merā
surma-e-muft-e-nazar hun meri qimat ye hai
ki rahe chashm-e-KHaridar pe ehsan mera
ruKHsat-e-nala mujhe de ki mabaada zalim
tere chehre se ho zahir gham-e-pinhan mera
KHalwat-e-abila-e-pa mein hai jaulan mera
KHun hai dil tangi-e-wahshat se bayaban mera
zauq-e-sarshaar se be-parda hai tufan mera
mauj-e-KHamyaza hai har zaKHm numayan mera
'aish-bazi-kada-e-hasrat jawed-rasa
KHun-e-adina se rangin hai dabistan mera
hasrat-e-nashsha-e-wahshat na ba-sai-e-dil hai
arz-e-KHamiyaza-e-majnun hai gareban mera
'alam-e-be-sar-o-samani-e-fursat mat puchh
langar-e-wahshat-e-majnun hai bayaban mera
be-dimagh tapish-e-rashk hun ai jalwa-e-husn
tishna-e-KHun-e-dil-o-dida hai paiman mera
fahm zanjiri-e-be-rabti-e-dil hai ya-rab
kis zaban mein hai laqab KHwab-e-pareshan mera
ba-hawas-e-dard-e-sar-e-ahl-e-salamat ta-chand
mushkil-e-ishq hun matlab nahin aasan mera
bu-e-yusuf mujhe gulzar se aati thi 'asad'
dai ne barbaad kiya pairahanistan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.