Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surmai sham hai mausam hai suhana aana

Mubarik Siddiqi

surmai sham hai mausam hai suhana aana

Mubarik Siddiqi

MORE BYMubarik Siddiqi

    surma.ī shaam hai mausam hai suhānā aanā

    is se pahle ki maiñ ho jā.ūñ fasāna aanā

    mujh se pahle ka.ī log ḳhafā rahte haiñ

    mujh se jal jaa.e zarā aur zamāna aanā

    ik tirā husn gulāboñ ġhazal sūrat hai

    ik ye sāvan mahīna hai suhānā aanā

    roz kahte ho mujhe aaj to ye hai vo hai

    aaj duniyā se koī kar ke bahāna aanā

    āḳhirī jang maiñ laḌne ke liye niklā huuñ

    phir rahe na rahe terā divāna aanā

    log kahte haiñ tujhe bhuul ke bhī zinda rahūñ

    maiñ ne pūchhā thā magar dil nahīñ maanā aanā

    log to log haiñ jo chāhe vo kah sakte haiñ

    to merā hai mire dil ko dukhā aanā

    bhī shamshīr-e-badan mast-adā tīr-e-nigāh

    maiñ bhī baiThā huuñ ki ho jā.ūñ nishāna aanā

    dushman-e-jān samajhtā hai ki tanhā huuñ maiñ

    maiñ ne dushman ko batānā hai ki aanā

    muskurātā huuñ magar Dar hai kisī mahfil meñ

    ashk āñkhoñ se na ho jaa.eñ ravāna aanā

    vo jo ma.asūm shā'ir hai 'mubārak' 'ahmad'

    us duniyā meñ faqat hai ḳhazāna aanā

    surmai sham hai mausam hai suhana aana

    is se pahle ki main ho jaun fasana aana

    mujh se pahle hi kai log KHafa rahte hain

    mujh se jal jae zara aur zamana aana

    ek tera husn gulabon sa ghazal surat hai

    ek ye sawan ka mahina hai suhana aana

    roz kahte ho mujhe aaj to ye hai wo hai

    aaj duniya se koi kar ke bahana aana

    aaKHiri jang main laDne ke liye nikla hun

    phir rahe ya na rahe tera diwana aana

    log kahte hain tujhe bhul ke bhi zinda rahun

    main ne puchha tha magar dil nahin mana aana

    log to log hain jo chahe wo kah sakte hain

    tu to mera hai mere dil ko dukha na aana

    tu bhi shamshir-e-badan mast-ada tir-e-nigah

    main bhi baiTha hun ki ho jaun nishana aana

    dushman-e-jaan samajhta hai ki tanha hun main

    main ne dushman ko batana hai ki na na aana

    muskuraata hun magar Dar hai kisi mahfil mein

    ashk aankhon se na ho jaen rawana aana

    wo jo masum sa sha'ir hai 'mubarak' 'ahmad'

    us ka duniya mein faqat tu hai KHazana aana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now