Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

su-e-dayar KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya

Taashshuq Lakhnavi

su-e-dayar KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya

Taashshuq Lakhnavi

MORE BYTaashshuq Lakhnavi

    sū-e-dariyā ḳhanda-zan vo yār-e-jānī phir gayā

    motiyoñ aabrū par aaj paanī phir gayā

    sūiyāñ kuchh dil-e-vahshī meñ phir chubhne lagīñ

    Thiik hone ko libās-e-arġhavānī phir gayā

    hathkaḌī bhārī hai mere haath aaj ai junūñ

    dast-e-jānāñ kahīñ chhallā nishānī phir gayā

    zor paidā kar ki pahuñche jeb tak dast-e-junūñ

    ab to mausam ai vafūr-e-nā-tavānī phir gayā

    sarfroshān-e-mohabbat se na hogī aañkh chaar

    muñh jo us teġh ai saḳht-jānī phir gayā

    kahte ho ham aaj mulk-e-husn ke haiñ bādshāh

    kyā humā bālā-e-sar ai yār-e-jānī phir gayā

    kyuuñ kabūtar ke evaz hudhud na laayā ḳhatt-e-shauq

    is ḳhatā par mujh se vo bilqīs-e-sānī phir gayā

    bosa kaisā ik lab-e-shīrīñ se gaalī bhī na

    aaj phir ummīd-vār-e-mehrbānī phir gayā

    ai za.īfī saaya sar par se gayā dhuup aa ga.ī

    fasl badlī āftāb-e-zindagānī phir gayā

    gir paḌe aañsū urūj-e-māh-e-kāmil dekh kar

    mirī nazroñ meñ tirā ahd-e-javānī phir gayā

    su-e-dariya KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya

    motiyon ki aabru par aaj pani phir gaya

    suiyan si kuchh dil-e-wahshi mein phir chubhne lagin

    Thik hone ko libas-e-arghawani phir gaya

    hathkaDi bhaari hai mere hath ki aaj ai junun

    dast-e-jaanan ka kahin chhalla nishani phir gaya

    zor paida kar ki pahunche jeb tak dast-e-junun

    ab to mausam ai wafur-e-na-tawani phir gaya

    sarfroshan-e-mohabbat se na hogi aankh chaar

    munh jo us ki tegh ka ai saKHt-jaani phir gaya

    kahte ho hum aaj mulk-e-husn ke hain baadshah

    kya huma baala-e-sar ai yar-e-jaani phir gaya

    kyun kabutar ke ewaz hudhud na laya KHatt-e-shauq

    is KHata par mujh se wo bilqis-e-sani phir gaya

    bosa kaisa ek lab-e-shirin se gali bhi na di

    aaj phir ummid-war-e-mehrbani phir gaya

    ai zaifi saya sar par se gaya dhup aa gai

    fasl badli aaftab-e-zindagani phir gaya

    gir paDe aansu uruj-e-mah-e-kaamil dekh kar

    meri nazron mein tera ahd-e-jawani phir gaya

    Source:

    Deewan-e-Hazrat Tashshuq Alaihirrahma Rekhta Website) (Pg. 3)

    • Author: Taashshuq Lakhnavi
      • Publisher: Sham-e-Awadh Press, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now